Thursday, May 17, 2018

MANZIL

MANZIL

Mene kai saal pehle ik line padhi thi
Likha tha "manzil usi ko milti he jo use pane k liye kuch v kr sakta he" us vaqt kai baten man me aayi pr un bato se manzil k milne ka koi sarokar nahi tha, ye baat aaj samajh me aati he.
Aaya kuch yu tha man me ki puri mehnat or shiddat se kiya gaya kaam mujhe meri manzil tak pahucha hi dega, kai sari yojnaye bana dali baton-baton me mene. Or man hi man aashwasth ho gaya ki ek din to zarur pa lunga apni man chahi manzil.
Mehnat v ki ji tor kr, din raat ek kr dene ki meri vo zaddozehed, mere apno se mujhe dur krne ke liye kafi thi, socha shayad apno se dur ho kr manzil ke karid pahuch jaunga, pr sab bekar hota he, ek jhatke me, "jab kismat apne paate khol kr aapke samne rakh deti he". Me kese nazar-andaz kr saktha tha apni kismat ko. Zindigi jitni kathin lagti he utni hoti nahi he, ya fir un kahen ki zindigi jitni aasan lagti he utni hoti nahi. Agle hi kadam pr kuch aacha ya kuch bura hone ki sambhavna hamara intzar kr rahi hoti he. Aese me yadi meri samajh me kuch aata he to vo sirf ek pankti SHREEMAD BHAGWAT GEETA se li hui "Karm kr fal ki chinta mat kr". Pr kya iska aarth sidha sidha sa nahi he, ki hum jo bhi karenge uska hamari manzil ko pane se koi sarokar nahi he ? Yahi aa kr "Vishwash" ka janam hota he, "Bharosa rakho sab aacha hoga". Manzil ko pana ya na pana apne bas ki baat nahi pr har paristhiti me bharosa banaye rakhna hi humari zindigi ka asal maksad hona chahiye. Or yahi aa kr man me ek sambhavna panapti he. ISHWAR ki sambhavna. Agar mujhse koi puche to me kahunga ki mera yakin hi meri taqat he, or mera Ishwar v. Yaha ek or pankti ka zikar krna chahunga, 
Avul Pakir Jainulabdeen(A.P.J) Abdul Kalam ji ki, "Never stop fighting until you arrive at your destined place - that is, the unique you. Have an aim in life, continuously acquire knowledge, work hard, and have perseverance to realise the great life."

No comments:

Post a Comment

How to make your bone stronger

Bone tips Bones are truly the emotionally supportive network of the body, so it's super imperative to keep them solid and sound. De...